I wrote this poem last year in September. It is one of my favorites, hence posting it...!!!
Aaj dhadkan ne hai pucha-
"dhadakte hue ek zamana ho gaya,
kab dega darshan pyaar tumhara,
kyon itna mushqil unka aana ho gya? "
hamne kaha- "kuch pal na sahi,
do pal ke liye to tujhe thaam lenge,
anayaas hi ruk jaegi teri gati,
lab hamare jab unka naam lenge!!!"
Aaj palkon ne hai pucha-
"jhuke hue ek zamana ho gaya,
uthne ko hain betaab swagat me jiske,
kyon mushqil us pari ka deedaar pana ho gaya?"
hamne kaha-"hoga deedar, jaan lo
uthkar zyada nahi ruk paogi,
husn pe hokar fida us dilnashin ke,
saamne sajde me khud jhuk jaogi!!!"
Aaj kaagaz ne hai pucha-
"likhe hue ek zamana ho gaya,
kya hua teri kalam ko,
dil-o-dard se kya tu begana ho gaya?"
hamne kaha-"dard hai aur hai kalam par dil nahi,
le gaya usko chura mera khuda hai,
nagm likhte they kabhi jo tere dil pe,
aaj wo nagma mere dil par guda hai!!!"
Aaj shama ne hai pucha-
"yaad me uski jalte hue ek zamana ho gaya,
kehta tha aashiq khud ko jo mera,
na jaane kahan wo parvana kho gaya?"
hamne kaha-" aey shama! tu fikr na kar,
yaad me aashiq ki jalne me maza hai,
milti hai fir jo khushi milne pe , uske
saamne kya zindagi aur kya kaza hai!!!"
Aaj kalion ne hai pucha-
"khile hue ek zamana ho gaya,
kho gayi jaane kahan meri sugandh,
bin jiske mushqil dil lagana ho gaya?"
hamne kaha- " jis khushboo ko dhundti ho tum,
wo toh bas meri saanson me basi hai,
saamne hain wo hamare aur uski,
aankhon me hai ek chamak, lab pe hasi hai!!!"
-umang
"dhadakte hue ek zamana ho gaya,
kab dega darshan pyaar tumhara,
kyon itna mushqil unka aana ho gya? "
hamne kaha- "kuch pal na sahi,
do pal ke liye to tujhe thaam lenge,
anayaas hi ruk jaegi teri gati,
lab hamare jab unka naam lenge!!!"
Aaj palkon ne hai pucha-
"jhuke hue ek zamana ho gaya,
uthne ko hain betaab swagat me jiske,
kyon mushqil us pari ka deedaar pana ho gaya?"
hamne kaha-"hoga deedar, jaan lo
uthkar zyada nahi ruk paogi,
husn pe hokar fida us dilnashin ke,
saamne sajde me khud jhuk jaogi!!!"
Aaj kaagaz ne hai pucha-
"likhe hue ek zamana ho gaya,
kya hua teri kalam ko,
dil-o-dard se kya tu begana ho gaya?"
hamne kaha-"dard hai aur hai kalam par dil nahi,
le gaya usko chura mera khuda hai,
nagm likhte they kabhi jo tere dil pe,
aaj wo nagma mere dil par guda hai!!!"
Aaj shama ne hai pucha-
"yaad me uski jalte hue ek zamana ho gaya,
kehta tha aashiq khud ko jo mera,
na jaane kahan wo parvana kho gaya?"
hamne kaha-" aey shama! tu fikr na kar,
yaad me aashiq ki jalne me maza hai,
milti hai fir jo khushi milne pe , uske
saamne kya zindagi aur kya kaza hai!!!"
Aaj kalion ne hai pucha-
"khile hue ek zamana ho gaya,
kho gayi jaane kahan meri sugandh,
bin jiske mushqil dil lagana ho gaya?"
hamne kaha- " jis khushboo ko dhundti ho tum,
wo toh bas meri saanson me basi hai,
saamne hain wo hamare aur uski,
aankhon me hai ek chamak, lab pe hasi hai!!!"
-umang
Wanted to write a new one for the second post but not getting time since few days. Will do it asap... Comments invited.. :)